jab uski kitabon ko khola to bahut roya
jab uski kitabon ko khola to bahut roya
Shahrukh Sahil Tulsipuri
MORE BYShahrukh Sahil Tulsipuri
jab us kī kitāboñ ko kholā to bahut royā
sūkhe hue phūloñ ko dekhā to bahut royā
jab yaad tirī aa.ī ai jān-e-vafā mujh ko
taḌpā to bahut taḌpā machlā to bahut royā
maiñ paidā huā jis meñ aur jis meñ phalā-phūlā
vo ghar mire bachpan kā TuuTā to bahut royā
ik 'arsa guzārā hai jis ne mirī sohbat meñ
kal shaam mujhe tanhā dekhā to bahut royā
do vaqt kī roTī kī lālach meñ mire hamdam
jab maiñ ne vatan apnā chhoḌā to bahut royā
is 'ārzī duniyā ko hai chhoḌ gayā 'sāhil'
jab mere muḳhālif ne jaanā to bahut royā
jab us ki kitabon ko khola to bahut roya
sukhe hue phulon ko dekha to bahut roya
jab yaad teri aai ai jaan-e-wafa mujh ko
taDpa to bahut taDpa machla to bahut roya
main paida hua jis mein aur jis mein phala-phula
wo ghar mere bachpan ka TuTa to bahut roya
ek 'arsa guzara hai jis ne meri sohbat mein
kal sham mujhe tanha dekha to bahut roya
do waqt ki roTi ki lalach mein mere hamdam
jab main ne watan apna chhoDa to bahut roya
is 'arzi duniya ko hai chhoD gaya 'sahil'
jab mere muKHalif ne jaana to bahut roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.