jab usko soch ke dekha to ye kamal hua
jab us ko soch ke dekhā to ye kamāl huā
mirī luġhat kā har ik lafz be-misāl huā
vo shahr-e-ḳhvāb se guzrā to daf.atan mujh ko
haqīqatoñ ke badalne kā ehtimāl huā
numūd-e-zāt ko pahle hī raushnī kam thī
baḌhe jo saa.e to kuchh aur bhī malāl huā
thamā na girne sambhalne kā silsila yuuñ hī
maiñ apnī ḳhaak se uTThā to lā-zavāl huā
ye mo.ajiza hī bahut hai ki paikar-e-fan ke
jo koī rabt meñ aayā vo ham-ḳhayāl huā
ham apnī sāda-mizājī meñ sab se pūchhte haiñ
hamāre jaisā bhī āḳhir kisī kā haal huā
hamīñ the us ke javāboñ ke muntazir 'rāhat'
so baar baar hamīñ se koī savāl huā
jab us ko soch ke dekha to ye kamal hua
meri lughat ka har ek lafz be-misal hua
wo shahr-e-KHwab se guzra to dafatan mujh ko
haqiqaton ke badalne ka ehtimal hua
numud-e-zat ko pahle hi raushni kam thi
baDhe jo sae to kuchh aur bhi malal hua
thama na girne sambhalne ka silsila yun hi
main apni KHak se uTTha to la-zawal hua
ye moajiza hi bahut hai ki paikar-e-fan ke
jo koi rabt mein aaya wo ham-KHayal hua
hum apni sada-mizaji mein sab se puchhte hain
hamare jaisa bhi aaKHir kisi ka haal hua
hamin the us ke jawabon ke muntazir 'rahat'
so bar bar hamin se koi sawal hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.