jab usne guftugu hi se tasir khinch li
jab us ne guftugū hī se tāsīr khīñch lī
maiñ ne bhī mel-jol meñ tāḳhīr khīñch lī
pahle to mere haath meñ kashkol de diyā
phir yuuñ kiyā ki vaqt ne tasvīr khīñch lī
mere gunāh kyā tirī rahmat se baḌh ga.e
phir kyoñ mirī duāoñ se tāsīr khīñch lī
dil ne abhī liyā hī thā taaza havā meñ saañs
fauran hī tū ne paañv kī zanjīr khīñch lī
ik iḳhtilāf-e-rā.e par is darja barhamī
kyoñ dost tū ne hijr kī shamshīr khīñch lī
jab us ne guftugu hi se tasir khinch li
main ne bhi mel-jol mein taKHir khinch li
pahle to mere hath mein kashkol de diya
phir yun kiya ki waqt ne taswir khinch li
mere gunah kya teri rahmat se baDh gae
phir kyon meri duaon se tasir khinch li
dil ne abhi liya hi tha taza hawa mein sans
fauran hi tu ne panw ki zanjir khinch li
ek iKHtilaf-e-rae par is darja barhami
kyon dost tu ne hijr ki shamshir khinch li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.