jab usne mujhko markaz-e-asrar kar diya
jab us ne mujh ko markaz-e-asrār kar diyā
saare jahāñ ko bar-sar-e-paikār kar diyā
dushvāriyāñ muhīt thiiñ har har qadam magar
'azm-e-safar ne rāsta hamvār kar diyā
jām-o-subū kī ham ko zarūrat nahīñ rahī
us kī nashīlī āñkhoñ ne sarshār kar diyā
mere vujūd meñ koī taḳhsīs thī kahāñ
shauq-e-karam ne aap ke shahvār kar diyā
jis ne qadam qadam pe diyā saath har daf'a
us ko har ek saañs kā muḳhtār kar diyā
us ke karam kī bārisheñ mujh par huī haiñ jo
ik hāshiye ko markazī kirdār kar diyā
qalb-o-jigar meñ us ne basā kar hameñ ai 'shād'
chāhe zarā sā hī sahī shak-dār kar diyā
jab us ne mujh ko markaz-e-asrar kar diya
sare jahan ko bar-sar-e-paikar kar diya
dushwariyan muhit thin har har qadam magar
'azm-e-safar ne rasta hamwar kar diya
jam-o-subu ki hum ko zarurat nahin rahi
us ki nashili aankhon ne sarshaar kar diya
mere wujud mein koi taKHsis thi kahan
shauq-e-karam ne aap ke shahwar kar diya
jis ne qadam qadam pe diya sath har daf'a
us ko har ek sans ka muKHtar kar diya
us ke karam ki barishen mujh par hui hain jo
ek hashiye ko markazi kirdar kar diya
qalb-o-jigar mein us ne basa kar hamein ai 'shad'
chahe zara sa hi sahi shak-dar kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.