Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab us se milo yar to yara use kahna

Meem Maroof Ashraf

jab us se milo yar to yara use kahna

Meem Maroof Ashraf

MORE BYMeem Maroof Ashraf

    jab us se milo yaar to yaarā use kahnā

    mushkil hai binā us ke guzārā use kahnā

    kahnā ki sabhī sharm ke parde vo uThā de

    bāñhoñ hameñ de de sahārā use kahnā

    ham dauḌe chale ā.eñge āvāz pe us

    gar us ne kabhī ham ko pukārā use kahnā

    gar vāqa'ī vo jaan ke darpe hai hamārī

    kar de vo faqat ek ishāra use kahnā

    rah rah ke sabhī yaad vo aate haiñ hameñ din

    ki jaan kabhī jaan se pyārā use kahnā

    haiñ koshisheñ be-sūd sabhī qatl mere

    martā hai kabhī koī dubāra use kahnā

    phaT jā.egā aise to hamārā jigar 'ashraf'

    yak-dam na kare ham se kinārā use kahnā

    jab us se milo yar to yara use kahna

    mushkil hai bina us ke guzara use kahna

    kahna ki sabhi sharm ke parde wo uTha de

    banhon ka hamein de de sahaara use kahna

    hum dauDe chale aaenge aawaz pe us ki

    gar us ne kabhi hum ko pukara use kahna

    gar waqa'i wo jaan ke darpe hai hamari

    kar de wo faqat ek ishaara use kahna

    rah rah ke sabhi yaad wo aate hain hamein din

    ki jaan kabhi jaan se pyara use kahna

    hain koshishen be-sud sabhi qatl ki mere

    marta hai kabhi koi dubara use kahna

    phaT jaega aise to hamara jigar 'ashraf'

    yak-dam na kare hum se kinara use kahna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now