jab use gardish-e-ayyam ne mara hoga
jab use gardish-e-ayyām ne maarā hogā
ai musībat meñ kise us ne pukārā hogā
azm-o-himmat hī se qismat ko sañvārā jaa.e
ek maulā hai to kis kis kā sahārā hogā
sū-e-kashtī jo ye tūfān baḌhā aatā hai
azm-o-himmat ke liye us meñ kinārā hogā
phuul to phuul haiñ kāñToñ se lipaT jaatā huuñ
ye samajh kar ki mujhe terā nazāra hogā
ab na sāhil kī talab hai na kināroñ kī talāsh
Duub jā.eñge jahāñ vo hī kinārā hogā
maiñ bhalā terā pata dair-o-haram se pūchhūñ
jazba-e-ishq ko ye kaise gavārā hogā
tum to pazhmurda ġham-e-ḳhār meñ ho ai 'lāġhar'
phuul murjhā.e to kyā haal tumhārā hogā
jab use gardish-e-ayyam ne mara hoga
ai musibat mein kise us ne pukara hoga
azm-o-himmat hi se qismat ko sanwara jae
ek maula hai to kis kis ka sahaara hoga
su-e-kashti jo ye tufan baDha aata hai
azm-o-himmat ke liye us mein kinara hoga
phul to phul hain kanTon se lipaT jata hun
ye samajh kar ki mujhe tera nazara hoga
ab na sahil ki talab hai na kinaron ki talash
Dub jaenge jahan wo hi kinara hoga
main bhala tera pata dair-o-haram se puchhun
jazba-e-ishq ko ye kaise gawara hoga
tum to pazhmurda gham-e-KHar mein ho ai 'laghar'
phul murjhae to kya haal tumhaara hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.