jab uThaya hai jam-e-sharab-e-kuhan
jab uThāyā hai jām-e-sharāb-e-kuhan
paḌ ga.ī asr-e-nau kī jabīñ par shikan
dekh kar rah-rav-e-ishq ke bāñkpan
kho ga.e rahnumā luT ga.e rāhzan
kuchh to do fan ko lillāh ai ahl-e-fan
zindagī irtiqā sādgī bāñkpan
rahnumā rahnumā rāhzan rāhzan
un ke bas kā nahīñ apnā dīvāna-pan
kyā ḳhabar kal hamārī jagah kaun ho
hoshiyār ai ḳhudāyān-e-dār-o-rasan
saikḌoñ mahfiloñ ke diye bujh ga.e
apnī ḳhalvat to hai aaj bhī anjuman
jab uThaya hai jam-e-sharab-e-kuhan
paD gai asr-e-nau ki jabin par shikan
dekh kar rah-raw-e-ishq ke bankpan
kho gae rahnuma luT gae rahzan
kuchh to do fan ko lillah ai ahl-e-fan
zindagi irtiqa sadgi bankpan
rahnuma rahnuma rahzan rahzan
un ke bas ka nahin apna diwana-pan
kya KHabar kal hamari jagah kaun ho
hoshiyar ai KHudayan-e-dar-o-rasan
saikDon mahfilon ke diye bujh gae
apni KHalwat to hai aaj bhi anjuman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.