jab wo kahta hai samundar hai kinaya us ka
jab vo kahtā hai samundar hai kināya us kā
rañg yak-laḳht badaltā hai sarāpā us kā
kab pukāregā bhalā naam bhañvar se merā
kab bhalā aa.egā phir mauj meñ dariyā us kā
dil to tahzīb-e-anā kā hai parastār magar
kyā kare koī jo ho jaa.e ishāra us kā
kab sañvāregā vo taqdīr mire lafzoñ kī
kab nazar aa.egā ash.ār meñ chehra us kā
ḳhud ko is tarah se gumnām kiyā hai us ne
shahr to shahr rahā bhī nahīñ sahrā us kā
maiñ to badnām sahī ḳhair koī baat nahīñ
chāñd jo dekhtā rahtā hai darīcha us kā
saath jab donoñ chale the to kahāñ chuuk huī
merā koī bhī nahīñ aur zamāna us kā
jab wo kahta hai samundar hai kinaya us ka
rang yak-laKHt badalta hai sarapa us ka
kab pukarega bhala nam bhanwar se mera
kab bhala aaega phir mauj mein dariya us ka
dil to tahzib-e-ana ka hai parastar magar
kya kare koi jo ho jae ishaara us ka
kab sanwarega wo taqdir mere lafzon ki
kab nazar aaega ashaar mein chehra us ka
KHud ko is tarah se gumnam kiya hai us ne
shahr to shahr raha bhi nahin sahra us ka
main to badnam sahi KHair koi baat nahin
chand jo dekhta rahta hai daricha us ka
sath jab donon chale the to kahan chuk hui
mera koi bhi nahin aur zamana us ka
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 27)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.