jab wo khiDki se jhankta hoga
jab vo khiḌkī se jhāñktā hogā
chāñd bādal meñ chhup gayā hogā
phuul āñgan meñ khil uThe hoñge
mor shāḳhoñ pe boltā hogā
dekh ke zulf-e-‘ambarī us kī
abr kaisā baras paḌā hogā
us kī rangat ne saare kamre ko
nuur hī nuur kar diyā hogā
ḳhushbueñ aap bichh ga.ī hoñgī
us kā bistar lagā diyā hogā
niiñd āñkhoñ pe chhā ga.ī hogī
aur badan saarā TūTtā hogā
istirāhat kī sarhadoñ se pare
ab vo ġhaflat meñ so rahā hogā
rāt-rānī mahak uThī hogī
jab vo karvaT badal rahā hogā
chheḌtī hogī ab nasīm-e-sahar
ab vo ḳhvāboñ se jāgtā hogā
apnā chehra nihārne ke liye
vo muqābil ba-ā.ina hogā
dekh kar husn-e-be-bahā apnā
ḳhud hī sharmātā jheñptā hogā
jhaḌte hoñge gulāb hoñToñ se
jab kisī se vo boltā hogā
phuul rāhoñ meñ bichh ga.e hoñge
ab vo ghar se nikal rahā hogā
aur ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ rakh ke qadam
mere ghar kī taraf baḌhā hogā
dil achānak dhaḌak uThā hai mirā
ab vo nukkaḌ tak aa gayā hogā
aur nukkaḌ pe mere ghar kā pata
mere dushman se pūchhtā hogā
koī jaa.e ki us ko le aa.e
vo pareshān ho rahā hogā
us kī pahchān maiñ batātā huuñ
husn hī husn sar-tā-pā hogā
vo hai jān-e-bahār jān-e-'nūr'
naam to aap ne sunā hogā
jab wo khiDki se jhankta hoga
chand baadal mein chhup gaya hoga
phul aangan mein khil uThe honge
mor shaKHon pe bolta hoga
dekh ke zulf-e-‘ambari us ki
abr kaisa baras paDa hoga
us ki rangat ne sare kamre ko
nur hi nur kar diya hoga
KHushbuen aap bichh gai hongi
us ka bistar laga diya hoga
nind aankhon pe chha gai hogi
aur badan sara TuTta hoga
istirahat ki sarhadon se pare
ab wo ghaflat mein so raha hoga
raat-rani mahak uThi hogi
jab wo karwaT badal raha hoga
chheDti hogi ab nasim-e-sahar
ab wo KHwabon se jagta hoga
apna chehra nihaarne ke liye
wo muqabil ba-aina hoga
dekh kar husn-e-be-baha apna
KHud hi sharmata jhenpta hoga
jhaDte honge gulab honTon se
jab kisi se wo bolta hoga
phul rahon mein bichh gae honge
ab wo ghar se nikal raha hoga
aur KHiraman KHiraman rakh ke qadam
mere ghar ki taraf baDha hoga
dil achanak dhaDak uTha hai mera
ab wo nukkaD tak aa gaya hoga
aur nukkaD pe mere ghar ka pata
mere dushman se puchhta hoga
koi jae ki us ko le aae
wo pareshan ho raha hoga
us ki pahchan main batata hun
husn hi husn sar-ta-pa hoga
wo hai jaan-e-bahaar jaan-e-'nur'
nam to aap ne suna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.