jab wo likhta hai mujhko jaan-e-ghazal
jab vo likhtā hai mujh ko jān-e-ġhazal
shor uThtā hai darmiyān-e-ġhazal
jhuum uThte haiñ 'āshiqān-e-ġhazal
chheḌ duuñ maiñ jo dāstān-e-ġhazal
mere rab kā huā karam mujh par
mujh pe kholā gayā jahān-e-ġhazal
mujh ko ahl-e-zabān kahte haiñ
jāntī ḳhuub ho zabān-e-ġhazal
ek muddat se muntazir huuñ maiñ
hajla-e-jāñ meñ ho azān-e-ġhazal
aane vaale bhī faiz leñ jis se
chhoḌ jā.ūñgī vo nishān-e-ġhazal
mere misre shabīh haiñ merī
dard merā hai tarjumān-e-ġhazal
dasht-e-ilhām se guzartā hai
nisf-shab dekho kārvān-e-ġhazal
ham pe utre suḳhan ke fan-pāre
ham hī Thahre haiñ pāsbān-e-ġhazal
she'r-goī shi'ār hai apnā
paas kar leñge imtihān-e-ġhazal
aaj mahfil meñ duur se 'ambar'
aa.e baiThe haiñ sāhibān-e-ġhazal
jab wo likhta hai mujh ko jaan-e-ghazal
shor uThta hai darmiyan-e-ghazal
jhum uThte hain 'ashiqan-e-ghazal
chheD dun main jo dastan-e-ghazal
mere rab ka hua karam mujh par
mujh pe khola gaya jahan-e-ghazal
mujh ko ahl-e-zaban kahte hain
jaanti KHub ho zaban-e-ghazal
ek muddat se muntazir hun main
hajla-e-jaan mein ho azan-e-ghazal
aane wale bhi faiz len jis se
chhoD jaungi wo nishan-e-ghazal
mere misre shabih hain meri
dard mera hai tarjuman-e-ghazal
dasht-e-ilham se guzarta hai
nisf-shab dekho karwan-e-ghazal
hum pe utre suKHan ke fan-pare
hum hi Thahre hain pasban-e-ghazal
she'r-goi shi'ar hai apna
pas kar lenge imtihan-e-ghazal
aaj mahfil mein dur se 'ambar'
aae baiThe hain sahiban-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.