jab wo mujhse bole hai
jab vo mujh se bole hai
lafzoñ ko kyoñ tole hai
us kā ḳhvābīda lahja
niiñd āñkhoñ meñ ghole hai
yādoñ kī nayyā meñ dil
raat ko tanhā Dole hai
rātoñ kā sannāTā bhī
raaz hazāroñ khole hai
is duniyā meñ kaun hai jo
apnā zehn TaTole hai
azm javāñ ho to insāñ
koh ke patthar Dhole hai
paisa hai paanī jaisā
qātil dāman dhole hai
zarf to dekho dāman kā
kitne ashk samo le hai
man panchhī ghabrā kar ab
uḌne ko par tole hai
mahfil se haT kar 'bebāk'
tanhā.ī meñ ro le hai
jab wo mujh se bole hai
lafzon ko kyon tole hai
us ka KHwabida lahja
nind aankhon mein ghole hai
yaadon ki nayya mein dil
raat ko tanha Dole hai
raaton ka sannaTa bhi
raaz hazaron khole hai
is duniya mein kaun hai jo
apna zehn TaTole hai
azm jawan ho to insan
koh ke patthar Dhole hai
paisa hai pani jaisa
qatil daman dhole hai
zarf to dekho daman ka
kitne ashk samo le hai
man panchhi ghabra kar ab
uDne ko par tole hai
mahfil se haT kar 'bebak'
tanhai mein ro le hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.