jab wo yusuf hi na ho misr ke bazar ke pas
jab vo yūsuf hī na ho misr ke bāzār ke paas
phir bhalā kaun sā jazba ho ḳharīdār ke paas
pahle har shaḳhs thā iḳhlās-o-vafā kā paikar
ab ye daulat bhī kahāñ miltī hai do-chār ke paas
ham-safar mere aqīdat se qadam chhūne lage
mujh ko dekhā jo kabhī jubba-o-dastār ke paas
ab to apnoñ meñ muravvat kī hai daulat mafqūd
ye ḳhazīna bhī hameñ miltā hai aġhyār ke paas
husn hī husn hai mahfil meñ tumhārī lekin
tāb-e-dīdār nahīñ tālib-e-dīdār ke paas
muflisī apnoñ ko begāna banā detī hai
koī aatā nahīñ girtī huī dīvār ke paas
muskurātā hai ġham-e-zīst meñ 'manzar' aise
phuul jis tarah gulistāñ meñ khile ḳhaar ke paas
jab wo yusuf hi na ho misr ke bazar ke pas
phir bhala kaun sa jazba ho KHaridar ke pas
pahle har shaKHs tha iKHlas-o-wafa ka paikar
ab ye daulat bhi kahan milti hai do-chaar ke pas
ham-safar mere aqidat se qadam chhune lage
mujh ko dekha jo kabhi jubba-o-dastar ke pas
ab to apnon mein murawwat ki hai daulat mafqud
ye KHazina bhi hamein milta hai aghyar ke pas
husn hi husn hai mahfil mein tumhaari lekin
tab-e-didar nahin talib-e-didar ke pas
muflisi apnon ko begana bana deti hai
koi aata nahin girti hui diwar ke pas
muskuraata hai gham-e-zist mein 'manzar' aise
phul jis tarah gulistan mein khile KHar ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.