jab yaqin ko guman mein nahin kho saki
jab yaqīñ ko gumāñ meñ nahīñ kho sakī
haar kar jiit merī tabhī ho sakī
ḳhvāb meñ jab milī ḳhud se maiñ daf.atan
raat bhar jaag kar chain se so sakī
ek muddat se āñkheñ mirī ḳhushk thiiñ
aaj aahaT kī dastak pe kuchh ro sakī
āsmāñ meñ sahar kā sitārā ugā
tab kahīñ hijr kāñdhe pe maiñ Dho sakī
jab zamīñ se samundar kī miTTī milī
nām-e-'nik.hat' ke paude ko maiñ bo sakī
jab yaqin ko guman mein nahin kho saki
haar kar jit meri tabhi ho saki
KHwab mein jab mili KHud se main dafatan
raat bhar jag kar chain se so saki
ek muddat se aankhen meri KHushk thin
aaj aahaT ki dastak pe kuchh ro saki
aasman mein sahar ka sitara uga
tab kahin hijr kandhe pe main Dho saki
jab zamin se samundar ki miTTi mili
nam-e-'nikhat' ke paude ko main bo saki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.