jab ye dawe the ki har dukh ka mudawa ho gae
jab ye daave the ki har dukh kā mudāvā ho ga.e
kis liye tum bā.is-e-ḳhūn-e-tamannā ho ga.e
shauq kā anjām niklā hasrat-e-āġhāz-e-shauq
raaz ban jaane se pahle raaz ifshā ho ga.e
ik nigāh-e-āshnā kā aasrā jaatā rahā
aaj ham tanhā.iyoñ meñ aur tanhā ho ga.e
terā milnā aur bichhaḌnā kyā kaheñ kis se kaheñ
ek jān-e-nā-tavāñ par zulm kyā kyā ho ga.e
jab ye dawe the ki har dukh ka mudawa ho gae
kis liye tum bais-e-KHun-e-tamanna ho gae
shauq ka anjam nikla hasrat-e-aghaz-e-shauq
raaz ban jaane se pahle raaz ifsha ho gae
ek nigah-e-ashna ka aasra jata raha
aaj hum tanhaiyon mein aur tanha ho gae
tera milna aur bichhaDna kya kahen kis se kahen
ek jaan-e-na-tawan par zulm kya kya ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.