jab zamir-o-zarf ke saude na the
jab zamīr-o-zarf ke saude na the
yuuñ sar-e-bāzār ham bikte na the
muflisī aañsū bahātī rah ga.ī
bhuuk thī bāzār thā paise na the
kuchh bharam rakhne ko rakhte rābta
go ki paimān-e-vafā sachche na the
kis meñ jur.at thī lagātā boliyāñ
ham kabhī bāzār meñ saste na the
vo uThāte kis liye dushvāriyāñ
mere ghar Tak marmarīñ raste na the
vaqt ne kitnā badal Daalā mizāj
varna ham pahle kabhī aise na the
kuchh to hai 'ajmal' ḳhamoshī kā sabab
aap afsurda kabhī rahte na the
jab zamir-o-zarf ke saude na the
yun sar-e-bazar hum bikte na the
muflisi aansu bahati rah gai
bhuk thi bazar tha paise na the
kuchh bharam rakhne ko rakhte rabta
go ki paiman-e-wafa sachche na the
kis mein jurat thi lagata boliyan
hum kabhi bazar mein saste na the
wo uThate kis liye dushwariyan
mere ghar Tak marmarin raste na the
waqt ne kitna badal Dala mizaj
warna hum pahle kabhi aise na the
kuchh to hai 'ajmal' KHamoshi ka sabab
aap afsurda kabhi rahte na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.