jabin-e-naz pe gard-e-safar saja bhi chuke
jabīn-e-nāz pe gard-e-safar sajā bhī chuke
ki tere shahr se ḳhāna-ba-dosh jā bhī chuke
pukārte ho hameñ kis liye sar-e-maqtal
ḳhirāj le bhī chuke zabt aazmā bhī chuke
tire ḳhayāl kī zid hai ki ham-rikāb rahe
ki ham to ḳhema-e-dil ke diye bujhā bhī chuke
jo be-charāġh bhaTakte the terī galiyoñ meñ
guzar ke jaan se apnā surāġh pā bhī chuke
unheñ batāne chale haiñ vo hurmat-e-paimāñ
jo tere hijr se ahd-e-vafā nibhā bhī chuke
vo jin kī āñkhoñ meñ raushan the zindagī ke charāġh
vo log jā bhī chuke naqsh-e-pā miTā bhī chuke
rahe haiñ vahshat-e-zindāñ meñ sar-ba-kaf raqsāñ
hamīñ jo hurmat-e-dār-o-rasan baḌhā bhī chuke
chale haiñ shāh-jī maqtal ko be-ḳhudī oḌhe
jo hashr aanā ho aa.e balā se aa bhī chuke
jabin-e-naz pe gard-e-safar saja bhi chuke
ki tere shahr se KHana-ba-dosh ja bhi chuke
pukarte ho hamein kis liye sar-e-maqtal
KHiraj le bhi chuke zabt aazma bhi chuke
tere KHayal ki zid hai ki ham-rikab rahe
ki hum to KHema-e-dil ke diye bujha bhi chuke
jo be-charagh bhaTakte the teri galiyon mein
guzar ke jaan se apna suragh pa bhi chuke
unhen batane chale hain wo hurmat-e-paiman
jo tere hijr se ahd-e-wafa nibha bhi chuke
wo jin ki aankhon mein raushan the zindagi ke charagh
wo log ja bhi chuke naqsh-e-pa miTa bhi chuke
rahe hain wahshat-e-zindan mein sar-ba-kaf raqsan
hamin jo hurmat-e-dar-o-rasan baDha bhi chuke
chale hain shah-ji maqtal ko be-KHudi oDhe
jo hashr aana ho aae bala se aa bhi chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.