jabin-e-yar pe aai hai barhami ki shikan
jabīn-e-yār pe aa.ī hai barhamī kī shikan
kahāñ bahār kahāñ shauq-o-ārzū kā chaman
ye tere ruup meñ Duubā tirā gudāz badan
sahar kī god meñ jaise humak rahā ho chaman
har ik nigāh uThī mujh pe uñgliyāñ ban kar
magar kisī ko na sūjhe tire ḳhutūt-e-badan
yahī ma.aal hai koshish kā bad-nasībī meñ
tamām hasrat-o-armāñ tamām ranj-o-mehan
na jaane kitne sarāboñ kā pesh-ḳhema hai
hamāre dasht-e-tasavvur meñ ik ġhazāl-e-ḳhutan
kiyā thā jurm-e-tamannā kabhī javānī meñ
to aaj siite haiñ hasrat kā apne haath kafan
bahār-e-zīst hai shāyad vahī fazā ki jahāñ
gul-e-nashāt kī qīmat hai ḳhār-e-ġham kī chubhan
sadā-bahār hai har zaḳhm-e-dil agar 'rāhī'
hañsī kī baat hai aa.ī ga.ī ḳhizāñ kā chalan
jabin-e-yar pe aai hai barhami ki shikan
kahan bahaar kahan shauq-o-arzu ka chaman
ye tere rup mein Duba tera gudaz badan
sahar ki god mein jaise humak raha ho chaman
har ek nigah uThi mujh pe ungliyan ban kar
magar kisi ko na sujhe tere KHutut-e-badan
yahi maal hai koshish ka bad-nasibi mein
tamam hasrat-o-arman tamam ranj-o-mehan
na jaane kitne sarabon ka pesh-KHema hai
hamare dasht-e-tasawwur mein ek ghazal-e-KHutan
kiya tha jurm-e-tamanna kabhi jawani mein
to aaj site hain hasrat ka apne hath kafan
bahaar-e-zist hai shayad wahi faza ki jahan
gul-e-nashat ki qimat hai KHar-e-gham ki chubhan
sada-bahaar hai har zaKHm-e-dil agar 'rahi'
hansi ki baat hai aai gai KHizan ka chalan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.