jabin par phir pasina aa gaya hai
jabin par phir pasina aa gaya hai
KHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
MORE BYKHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
jabīñ par phir pasīna aa gayā hai
ki gul par ābgīna aa gayā hai
maiñ rātoñ meñ bhī ab zinda rahūñgā
muqaddar meñ shabīna aa gayā hai
ḳhud apnī ārzūeñ ḳhatm kar leñ
ye kis manzil kā ziina aa gayā hai
khudā.ī meñ kal us kī yaad niklī
phir hāthoñ meñ dafīna aa gayā hai
ḳhud apne ko añgūThī gin rahā hai
ki mushkil meñ nagīna aa gayā hai
maiñ har din ik nayā din jī rahā huuñ
mire bas meñ mahīna aa gayā hai
nayā dariyā hai paanī māñgtā hai
ki ḳhushkī par safīna aa gayā hai
maiñ miTTī se jo kuuza ban gayā huuñ
so bikne kā qarīna aa gayā hai
jabin par phir pasina aa gaya hai
ki gul par aabgina aa gaya hai
main raaton mein bhi ab zinda rahunga
muqaddar mein shabina aa gaya hai
KHud apni aarzuen KHatm kar len
ye kis manzil ka zina aa gaya hai
khudai mein kal us ki yaad nikli
phir hathon mein dafina aa gaya hai
KHud apne ko anguThi gin raha hai
ki mushkil mein nagina aa gaya hai
main har din ek naya din ji raha hun
mere bas mein mahina aa gaya hai
naya dariya hai pani mangta hai
ki KHushki par safina aa gaya hai
main miTTi se jo kuza ban gaya hun
so bikne ka qarina aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.