jabin pe is dar ka paira bhi hai kamar pe is ghar ka bar bhi hai
jabin pe is dar ka paira bhi hai kamar pe is ghar ka bar bhi hai
Ijtiba Rizvi
MORE BYIjtiba Rizvi
jabīñ pe is dar kā pairā bhī hai kamar pe is ghar kā baar bhī hai
idhar ke chukte nahīñ taqāze udhar se paiham pukār bhī hai
ujaaḌ ho bhī chukā mirā dil magar abhī dāġhdār bhī hai
yahī ḳhizāñ thī bahār-e-dushman jo yādgār-e-bahār bhī hai
chaḌhā ke pī thī mai-e-javānī ġhazab thā shīrīñ vo shor paanī
usī kā do din surūr bhī thā usī kā ab tak ḳhumār bhī hai
ye rāh-e-dūr-o-darāz mujh ko dikhātī laa.ī yahī tamāshā
qadam qadam ijtimā bhī hai nafas nafas intishār bhī hai
hamāre un ke bas ik mohabbat ḳhudā.ī kyā bandagī kahāñ kī
bahut hī nāzuk hai go ye rishta magar yahī ustuvār bhī hai
vo sozan-e-fikr jis ne ik din ye raḳht-e-tahzīb sī diyā thā
usī kī kāvish se aaj dekho ye pairahan taar taar bhī hai
nahīñ kiyā shukr zindagī kā magar shikāyat bhī kī nahīñ hai
ki jis qadar nāgavār hai ye usī qadar ḳhush-gavār bhī hai
nahīñ faqat bāvlī nigāheñ zuhūr ḳhud hai ḳhirām-e-mastī
sukūn-e-mahmil-nashīñ kā dushman ye nāqa-e-be-mahār bhī hai
nigār-ḳhāne meñ mehr o mah ke bahut bhayānak hai naqsh-e-ādam
balā kā sarkash azal kā bāġhī magar yahī shāhkār bhī hai
jabin pe is dar ka paira bhi hai kamar pe is ghar ka bar bhi hai
idhar ke chukte nahin taqaze udhar se paiham pukar bhi hai
ujaD ho bhi chuka mera dil magar abhi daghdar bhi hai
yahi KHizan thi bahaar-e-dushman jo yaadgar-e-bahaar bhi hai
chaDha ke pi thi mai-e-jawani ghazab tha shirin wo shor pani
usi ka do din surur bhi tha usi ka ab tak KHumar bhi hai
ye rah-e-dur-o-daraaz mujh ko dikhati lai yahi tamasha
qadam qadam ijtima bhi hai nafas nafas intishaar bhi hai
hamare un ke bas ek mohabbat KHudai kya bandagi kahan ki
bahut hi nazuk hai go ye rishta magar yahi ustuwar bhi hai
wo sozan-e-fikr jis ne ek din ye raKHt-e-tahzib si diya tha
usi ki kawish se aaj dekho ye pairahan tar tar bhi hai
nahin kiya shukr zindagi ka magar shikayat bhi ki nahin hai
ki jis qadar nagawar hai ye usi qadar KHush-gawar bhi hai
nahin faqat bawli nigahen zuhur KHud hai KHiram-e-masti
sukun-e-mahmil-nashin ka dushman ye naqa-e-be-mahaar bhi hai
nigar-KHane mein mehr o mah ke bahut bhayanak hai naqsh-e-adam
bala ka sarkash azal ka baghi magar yahi shahkar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.