jabran pyas pe pahra hote dekha hai
jabran pyaas pe pahrā hote dekhā hai
maiñ ne dariyā sahrā hote dekhā hai
aañkh meñ maut ke kaale kaale aañsū haiñ
ḳhvāb meñ niiñd ko gahrā hote dekhā hai
āñkheñ monalisa jaisī haiñ us kī
ḳhāmoshī ko chehra hote dekhā hai
dauḌā aatā hai ab har āvāze par
officer ko bahrā hote dekhā hai
jhiil kināre baiThe baiThe kyā tum ne
shaam kā rañg dopahrā hote dekhā hai
peḌ kī gardan par ab aarā rakh bhī do
kis ne kaaTh kaTahrā hote dekhā hai
priit kī jiit pe haarī ḳhud ko maiñ ne 'asvad'
khet samet sunahrā hote dekhā hai
jabran pyas pe pahra hote dekha hai
main ne dariya sahra hote dekha hai
aankh mein maut ke kale kale aansu hain
KHwab mein nind ko gahra hote dekha hai
aankhen monalisa jaisi hain us ki
KHamoshi ko chehra hote dekha hai
dauDa aata hai ab har aawaze par
officer ko bahra hote dekha hai
jhil kinare baiThe baiThe kya tum ne
sham ka rang dopahra hote dekha hai
peD ki gardan par ab aara rakh bhi do
kis ne kaTh kaTahra hote dekha hai
prit ki jit pe haari KHud ko main ne 'aswad'
khet samet sunahra hote dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.