jafa-e-ahd ka ilzam ulaT bhi sakta hun
jafā-e-ahd kā ilzām ulaT bhī saktā huuñ
use yaqīn na thā maiñ palaT bhī saktā huuñ
maiñ apne ishq meñ shāhīñ mizāj rakhtā huuñ
palaT to jaatā huuñ lekin jhapaT bhī saktā huuñ
junūñ meñ zulm kī gardan utaar letā huuñ
to ik nigāh-e-mohabbat meñ kaT bhī saktā huuñ
adū-e-shahr maiñ bārūd huuñ mohabbat kā
hadoñ se baat baḌhegī to phaT bhī saktā huuñ
bisāt-e-arz pe chāhūñ to phail jā.ūñ maiñ
ho ramz-e-yār to dil meñ simaT bhī saktā huuñ
jafa-e-ahd ka ilzam ulaT bhi sakta hun
use yaqin na tha main palaT bhi sakta hun
main apne ishq mein shahin mizaj rakhta hun
palaT to jata hun lekin jhapaT bhi sakta hun
junun mein zulm ki gardan utar leta hun
to ek nigah-e-mohabbat mein kaT bhi sakta hun
adu-e-shahr main barud hun mohabbat ka
hadon se baat baDhegi to phaT bhi sakta hun
bisat-e-arz pe chahun to phail jaun main
ho ramz-e-yar to dil mein simaT bhi sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.