jafa-e-charKH ki jaur-e-butan nahin hota
jafā-e-charḳh ki jaur-e-butāñ nahīñ hotā
vafā ke naam pe kyā kyā yahāñ nahīñ hotā
vo apnī ḳhū-e-jafā to nahīñ bhulā baiThe
hai baat kyā jo mirā imtihāñ nahīñ hotā
jo be-niyāz-e-taqāzā-e-āstāñ kar de
vo sajda dosh-e-jabīñ par garāñ nahīñ hotā
ḳhulūs-e-jazba-e-ta.amīr bhī hai shart ai dost
ki chaar tinkoñ kā naam āshiyāñ nahīñ hotā
nigāh-e-yār kā andāz-e-dilbarī tauba
maiñ luT gayā bhī magar bad-gumāñ nahīñ hotā
ye kyā bahār hai kaisī ye fasl-e-gul 'muslim'
ki jis ko dekh ke dil shādmāñ nahīñ hotā
jafa-e-charKH ki jaur-e-butan nahin hota
wafa ke nam pe kya kya yahan nahin hota
wo apni KHu-e-jafa to nahin bhula baiThe
hai baat kya jo mera imtihan nahin hota
jo be-niyaz-e-taqaza-e-astan kar de
wo sajda dosh-e-jabin par garan nahin hota
KHulus-e-jazba-e-tamir bhi hai shart ai dost
ki chaar tinkon ka nam aashiyan nahin hota
nigah-e-yar ka andaz-e-dilbari tauba
main luT gaya bhi magar bad-guman nahin hota
ye kya bahaar hai kaisi ye fasl-e-gul 'muslim'
ki jis ko dekh ke dil shadman nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.