jafa-e-dost bani rahnuma-e-manzil-e-dost
jafā-e-dost banī rahnumā-e-manzil-e-dost
vo kho rahe haiñ mujhe un ko pā rahā huuñ maiñ
hai merī ḳhaak ke zarroñ meñ phir numūd-e-hayāt
kahīñ unheñ to nahīñ yaad aa rahā huuñ maiñ
mohabbat āh-e-mohabbat kī zindagī mat pūchh
baḌī musībatoñ meñ mubtalā rahā huuñ maiñ
hai kā.enāt kā har zarra ham-navā merā
kuchh aisā mahfil-e-hastī pe chhā rahā huuñ maiñ
mirā fasāna-e-ġham dil ne bhī kabhī na sunā
qatīl-e-shikva-e-dard-āshnā rahā huuñ maiñ
jafa-e-dost bani rahnuma-e-manzil-e-dost
wo kho rahe hain mujhe un ko pa raha hun main
hai meri KHak ke zarron mein phir numud-e-hayat
kahin unhen to nahin yaad aa raha hun main
mohabbat aah-e-mohabbat ki zindagi mat puchh
baDi musibaton mein mubtala raha hun main
hai kaenat ka har zarra ham-nawa mera
kuchh aisa mahfil-e-hasti pe chha raha hun main
mera fasana-e-gham dil ne bhi kabhi na suna
qatil-e-shikwa-e-dard-ashna raha hun main
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 181)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.