jafa-ju ne ki thi wafa ittifaqan
jafā-jū ne kī thī vafā ittifāqan
bashar hai huī thī ḳhatā ittifāqan
zamāna mujhe rind kahne lagā hai
kabhī chakh liyā thā mazā ittifāqan
mirī zindagī Dhal ga.ī naġhmagī meñ
sunī thī kisī kī sadā ittifāqan
tire ek ḳhat ne kiyā raaz ifshā
paḌā rah gayā thā khulā ittifāqan
mirī be-ḳhudī ne jahāñ lā ke chhoḌā
tire ghar kā thā rāstā ittifāqan
dhare rah ga.e azm-o-himmat ke da.ave
chalī thī muḳhālif havā ittifāqan
baḌī tez thī dhuup nashtar ġhamoñ kī
paḌā raah meñ mai-kada ittifāqan
jafa-ju ne ki thi wafa ittifaqan
bashar hai hui thi KHata ittifaqan
zamana mujhe rind kahne laga hai
kabhi chakh liya tha maza ittifaqan
meri zindagi Dhal gai naghmagi mein
suni thi kisi ki sada ittifaqan
tere ek KHat ne kiya raaz ifsha
paDa rah gaya tha khula ittifaqan
meri be-KHudi ne jahan la ke chhoDa
tere ghar ka tha rasta ittifaqan
dhare rah gae azm-o-himmat ke dawe
chali thi muKHalif hawa ittifaqan
baDi tez thi dhup nashtar ghamon ki
paDa rah mein mai-kada ittifaqan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.