Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jafa kar ke wo pachhtaya sitam TuTa ghazab aaya

Rasikh Dehlvi

jafa kar ke wo pachhtaya sitam TuTa ghazab aaya

Rasikh Dehlvi

MORE BYRasikh Dehlvi

    jafā kar ke vo pachhtāyā sitam TuuTā ġhazab aaya

    sitam TuuTā ġhazab aaya sitam TuuTā ġhazab aaya

    junūñ bhī hai ilāhī bekasī bhī hai mohabbat meñ

    kahīñ maiñ huuñ kahīñ saayā sitam TuuTā ġhazab aaya

    qayāmat Dhaa.ī mujh par hashr toḌā us sitamgar ne

    adū ko qabr par laayā sitam TuuTā ġhazab aaya

    kahā maiñ ne ki tum par TuuT kar aaya hai dil merā

    unhoñ ne hañs ke farmāyā sitam TuuTā ġhazab aaya

    shab-e-hijrāñ ke naale se falak haiñ TūTne vaale

    hilā hai arsh paayā sitam TuuTā ġhazab aaya

    kiyā muñh jab kaleje taraf sūfār ne qātil

    dil-e-betāb chillāyā sitam TuuTā ġhazab aaya

    namak vo bharte bharte mere zaḳhmoñ meñ hue barham

    kahā jab maiñ ne bhar paayā sitam TuuTā ġhazab aaya

    nasīhat-gar se kah do chup rahe gar jaan pyārī hai

    agar 'rāsiḳh' ko samjhāyā sitam TuuTā ġhazab aaya

    jafa kar ke wo pachhtaya sitam TuTa ghazab aaya

    sitam TuTa ghazab aaya sitam TuTa ghazab aaya

    junun bhi hai ilahi bekasi bhi hai mohabbat mein

    kahin main hun kahin saya sitam TuTa ghazab aaya

    qayamat Dhai mujh par hashr toDa us sitamgar ne

    adu ko qabr par laya sitam TuTa ghazab aaya

    kaha main ne ki tum par TuT kar aaya hai dil mera

    unhon ne hans ke farmaya sitam TuTa ghazab aaya

    shab-e-hijran ke nale se falak hain TuTne wale

    hila hai arsh ka paya sitam TuTa ghazab aaya

    kiya munh jab kaleje ki taraf sufar ne qatil

    dil-e-betab chillaya sitam TuTa ghazab aaya

    namak wo bharte bharte mere zaKHmon mein hue barham

    kaha jab main ne bhar paya sitam TuTa ghazab aaya

    nasihat-gar se kah do chup rahe gar jaan pyari hai

    agar 'rasiKH' ko samjhaya sitam TuTa ghazab aaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now