jafa-o-makr-o-dagha ki hikayaten kaisi
jafā-o-makr-o-daġhā kī hikāyateñ kaisī
isī kā naam hai duniyā shikāyateñ kaisī
bajā haiñ chhoToñ se tum ko shikāyateñ lekin
dikhā.ī thiiñ unheñ tum ne rivāyateñ kaisī
ye pul-sirāt ko pal pal ubuur karnā hai
haiñ dostī meñ bhī yaaro nazākateñ kaisī
yahāñ zavābit-e-fitrat kī hai amal-dārī
miyāñ kahāñ ke karishme karāmateñ kaisī
muāmlāt pe un kā asar nahīñ paḌtā
huī haiñ ruuh se aarī ibādateñ kaisī
bhaḌak hī jaa.eñ agar koī naam bhī le le
haiñ ab to yāroñ kī ham par ināyateñ kaisī
na Daalā qaum ko mañjdhār meñ to kuchh na kiyā
balā-e-jān haiñ 'az.har' qayādateñ kaisī
jafa-o-makr-o-dagha ki hikayaten kaisi
isi ka nam hai duniya shikayaten kaisi
baja hain chhoTon se tum ko shikayaten lekin
dikhai thin unhen tum ne riwayaten kaisi
ye pul-siraat ko pal pal ubur karna hai
hain dosti mein bhi yaro nazakaten kaisi
yahan zawabit-e-fitrat ki hai amal-dari
miyan kahan ke karishme karamaten kaisi
muamlat pe un ka asar nahin paDta
hui hain ruh se aari ibaadaten kaisi
bhaDak hi jaen agar koi nam bhi le le
hain ab to yaron ki hum par inayaten kaisi
na Dala qaum ko manjdhaar mein to kuchh na kiya
bala-e-jaan hain 'azhar' qayaadaten kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.