jafaon ka mujhe kuchh gham nahin hai
jafāoñ kā mujhe kuchh ġham nahīñ hai
tirī ye bhī navāzish kam nahīñ hai
kahāñ laayā mirā zauq-e-asīrī
koī sāthī koī hamdam nahīñ hai
hasīñ hai ḳhuld mai-ḳhāna bhī dekhā
yahāñ kyā qibla-e-ālam nahīñ hai
zamāna ro rahā hai mere ġham par
kisī kī aañkh to pur-nam nahīñ hai
mirī rūdād-e-ġham par hañsne vaale
ye aañsū qatra-e-shabnam nahīñ hai
hañsī un ke laboñ par kyoñ hai 'māhir'
fasāna is qadar mub.ham nahīñ hai
jafaon ka mujhe kuchh gham nahin hai
teri ye bhi nawazish kam nahin hai
kahan laya mera zauq-e-asiri
koi sathi koi hamdam nahin hai
hasin hai KHuld mai-KHana bhi dekha
yahan kya qibla-e-alam nahin hai
zamana ro raha hai mere gham par
kisi ki aankh to pur-nam nahin hai
meri rudad-e-gham par hansne wale
ye aansu qatra-e-shabnam nahin hai
hansi un ke labon par kyon hai 'mahir'
fasana is qadar mubham nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.