jagah de do zara si dekhne ko
jagah de do zarā sī dekhne ko
mirī āñkheñ haiñ pyāsī dekhne ko
unheñ aane do mere aa.ine tak
jo aa.e haiñ udāsī dekhne ko
tirī puujā ko aayā hai zamāna
tirī ye ek udāsī dekhne ko
ta.affun hai rukāvaT hai ghuTan hai
yahāñ hai bas nikāsī dekhne ko
saḌak ho ghar ho yā dīvār-e-ḳhalvat
vahī manzar hai baasī dekhne ko
yahāñ sab pārsā bin pārsā haiñ
nahīñ hai koī aasī dekhne ko
kasī ne kuchh nahīñ dekhā abhī tak
lagī hai bhiiḌ ḳhāsī dekhne ko
jagah de do zara si dekhne ko
meri aankhen hain pyasi dekhne ko
unhen aane do mere aaine tak
jo aae hain udasi dekhne ko
teri puja ko aaya hai zamana
teri ye ek udasi dekhne ko
taffun hai rukawaT hai ghuTan hai
yahan hai bas nikasi dekhne ko
saDak ho ghar ho ya diwar-e-KHalwat
wahi manzar hai basi dekhne ko
yahan sab parsa bin parsa hain
nahin hai koi aasi dekhne ko
kasi ne kuchh nahin dekha abhi tak
lagi hai bhiD KHasi dekhne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.