jagmagate shahr ki ranaiyon mein kho gaya
jagmagāte shahr kī ra.anā.iyoñ meñ kho gayā
thā vo sūraj sā magar parchhā.iyoñ meñ kho gayā
aane vaale vaqt ne samjhā use apnā naqīb
vo par-e-parvāz kyoñ pahnā.iyoñ meñ kho gayā
merā chehra apne pas-manzar se ḳhud vāqif na thā
bhiiḌ meñ to saath thā tanhā.iyoñ meñ kho gayā
haal ke mātam-sarā haiñ ham na maazī ke naqīb
apnā mustaqbil magar parchhā.iyoñ meñ kho gayā
pattharoñ ke Dher par rakh kar chalī aa.ī use
māmtā kā dard kyoñ rusvā.iyoñ meñ kho gayā
apne āñchal se koī parcham banā paa.ī na vo
jazba-e-be-iḳhtiyār añgnā.iyoñ meñ kho gayā
shaam se pahle sameTī zard pattoñ ne bisāt
mausamoñ kā dard in ra.anā.iyoñ meñ kho gayā
jagmagate shahr ki ranaiyon mein kho gaya
tha wo suraj sa magar parchhaiyon mein kho gaya
aane wale waqt ne samjha use apna naqib
wo par-e-parwaz kyon pahnaiyon mein kho gaya
mera chehra apne pas-manzar se KHud waqif na tha
bhiD mein to sath tha tanhaiyon mein kho gaya
haal ke matam-sara hain hum na mazi ke naqib
apna mustaqbil magar parchhaiyon mein kho gaya
pattharon ke Dher par rakh kar chali aai use
mamta ka dard kyon ruswaiyon mein kho gaya
apne aanchal se koi parcham bana pai na wo
jazba-e-be-iKHtiyar angnaiyon mein kho gaya
sham se pahle sameTi zard patton ne bisat
mausamon ka dard in ranaiyon mein kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.