jahaalaton ki ghulami se bach nikalne ka
jahālatoñ kī ġhulāmī se bach nikalne kā
sañbhal bhī jaao yahī vaqt hai sañbhalne kā
bulandiyāñ bhī kareñgī salām jhuk ke tumheñ
shu.ūr tum meñ agar hai zamīñ pe chalne kā
jo nā-umīdī ke bādal falak pe chhā.e hoñ
tum intizār karo barf ke pighalne kā
niDhāl ho ke lo sūraj bhī mahv-e-ḳhvāb huā
ai chāñd taaro yahī vaqt hai nikalne kā
maiñ vo charāġh huuñ jis meñ hai azm kā īñdhan
nahīñ hai ḳhauf mujhe āñdhiyoñ ke chalne kā
shafaq ke saa.e meñ din-rāt mil rahe haiñ gale
baḌā hasīn hai manzar ye shaam Dhalne kā
har ik savāl kā ma.aqūl do javāb ki 'shād'
nahīñ ye vaqt ḳhamoshī se haath malne kā
jahaalaton ki ghulami se bach nikalne ka
sanbhal bhi jao yahi waqt hai sanbhalne ka
bulandiyan bhi karengi salam jhuk ke tumhein
shuur tum mein agar hai zamin pe chalne ka
jo na-umidi ke baadal falak pe chhae hon
tum intizar karo barf ke pighalne ka
niDhaal ho ke lo suraj bhi mahw-e-KHwab hua
ai chand taro yahi waqt hai nikalne ka
main wo charagh hun jis mein hai azm ka indhan
nahin hai KHauf mujhe aandhiyon ke chalne ka
shafaq ke sae mein din-raat mil rahe hain gale
baDa hasin hai manzar ye sham Dhalne ka
har ek sawal ka maqul do jawab ki 'shad'
nahin ye waqt KHamoshi se hath malne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.