jahan bhi hum Thahar gae maqam bolne lage
jahāñ bhī ham Thahar ga.e maqām bolne lage
mohabbatoñ kī boliyāñ avaam bolne lage
sar-e-ġhurūr ḳham nahīñ koī kisī se kam nahīñ
sikandaroñ ke sāmne ġhulām bolne lage
sunī jo jaa.e aañkh se vo jism kī zabān hai
hazār lab ḳhamosh hoñ ḳhirām bolne lage
koī bhī shaḳhs-e-be-adab vo din nahīñ hai duur jab
junūñ meñ apne aap ko imaam bolne lage
sajā vo jab dukān par matā.a-e-ām jaan kar
na.e amiir bad-mizāj daam bolne lage
mufakkirāna ik nazar jo Dālūñ kā.enāt par
ḳhat-e-shikasta meñ likhā kalām bolne lage
hayāt-baḳhsh aab ko miyāñ 'shafaq' sharāb kar
chakhe baġhair aap bhī harām bolne lage
jahan bhi hum Thahar gae maqam bolne lage
mohabbaton ki boliyan awam bolne lage
sar-e-ghurur KHam nahin koi kisi se kam nahin
sikandaron ke samne ghulam bolne lage
suni jo jae aankh se wo jism ki zaban hai
hazar lab KHamosh hon KHiram bolne lage
koi bhi shaKHs-e-be-adab wo din nahin hai dur jab
junun mein apne aap ko imam bolne lage
saja wo jab dukan par mataa-e-am jaan kar
nae amir bad-mizaj dam bolne lage
mufakkirana ek nazar jo Dalun kaenat par
KHat-e-shikasta mein likha kalam bolne lage
hayat-baKHsh aab ko miyan 'shafaq' sharab kar
chakhe baghair aap bhi haram bolne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.