jahan chahat ho chalne ki wahan rasta nikalta hai
jahan chahat ho chalne ki wahan rasta nikalta hai
Zameer Ahmad Zameer
MORE BYZameer Ahmad Zameer
jahāñ chāhat ho chalne kī vahāñ rasta nikaltā hai
pahāḌoñ kī jigar ko chiir kar dariyā nikaltā hai
koī tāqat kahāñ josh-e-numū ko rok saktī hai
zamīñ kī kokh phaTtī hai nayā paudā nikaltā hai
bahut nazdīk se dekhe haiñ duniyā meñ ka.ī chehre
garāñ-qīmat jo lagtā hai bahut sastā nikaltā hai
'zamīr'-e-sarkash-o-āshufta-sar pe jaane kyā guzrī
usūloñ se vo kar ke aaj samjhautā nikaltā hai
jahan chahat ho chalne ki wahan rasta nikalta hai
pahaDon ki jigar ko chir kar dariya nikalta hai
koi taqat kahan josh-e-numu ko rok sakti hai
zamin ki kokh phaTti hai naya pauda nikalta hai
bahut nazdik se dekhe hain duniya mein kai chehre
garan-qimat jo lagta hai bahut sasta nikalta hai
'zamir'-e-sarkash-o-ashufta-sar pe jaane kya guzri
usulon se wo kar ke aaj samjhauta nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.