jahan chaho mera nam likho, jo chaho tum ilzam likho
jahan chaho mera nam likho, jo chaho tum ilzam likho
Najma Shaheen Khosa
MORE BYNajma Shaheen Khosa
jahāñ chāho merā naam likho, jo chāho tum ilzām likho
mujhe ishq ne barsoñ qaid rakhā mujhe, hijr kī gahrī shaam likho
mire josh-e-junūñ kā ye tanhā safar, ai chāragaro tumheñ kyā hai ḳhabar
mire paas hai jo bhī ye dard-e-hunar, use tum mere hī naam likho
mire lab pe abhī vo savāl hai kyūñ? mire dil meñ abhī vo malāl hai kyūñ?
mire chāroñ-jānib jaal hai kyūñ? mire ḳhvāb kā ab anjām likho
ye ishq-e-musalsal sāvan hai, man aag, to jism ik īñdhan hai
bas maut hai kab, ye jīvan hai? use zahar-bharā ik jaam likho
kabhī dasht meñ ḳhaar pe hai chalnā, kabhī aag kā phuul meñ hai Dhalnā
kabhī tanhā dhuup meñ hai chalnā, use ishq kā hī in.aam likho
har ḳhvāhish hai sar-e-nok-e-sināñ, har chāhat hai bas nauha-kunāñ
ma.alūm nahīñ ḳhud meñ huuñ kahāñ, ab chāñd nahīñ sar-e-bām likho
ye hijr jo ik tūlānī hai mire paas jo ek nishānī hai
'shāhīn' ye mirī jo kahānī hai, use ḳhushiyoñ meñ kohrām likho
jahan chaho mera nam likho, jo chaho tum ilzam likho
mujhe ishq ne barson qaid rakha mujhe, hijr ki gahri sham likho
mere josh-e-junun ka ye tanha safar, ai chaaragaro tumhein kya hai KHabar
mere pas hai jo bhi ye dard-e-hunar, use tum mere hi nam likho
mere lab pe abhi wo sawal hai kyun? mere dil mein abhi wo malal hai kyun?
mere chaaron-jaanib jal hai kyun? mere KHwab ka ab anjam likho
ye ishq-e-musalsal sawan hai, man aag, to jism ek indhan hai
bas maut hai kab, ye jiwan hai? use zahar-bhara ek jam likho
kabhi dasht mein KHar pe hai chalna, kabhi aag ka phul mein hai Dhalna
kabhi tanha dhup mein hai chalna, use ishq ka hi inam likho
har KHwahish hai sar-e-nok-e-sinan, har chahat hai bas nauha-kunan
malum nahin KHud mein hun kahan, ab chand nahin sar-e-baam likho
ye hijr jo ek tulani hai mere pas jo ek nishani hai
'shahin' ye meri jo kahani hai, use KHushiyon mein kohram likho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.