jahan-e-aina-ru hain hum log
jahān-e-ā.īna-rū haiñ ham log
azal se hī surḳh-rū haiñ ham log
yahīñ kahīñ ās-pās hoñge
ba-misl-e-ḳhush-rang-o-bū haiñ ham log
amānateñ apnī sauñpte haiñ
qabīle kī aabrū haiñ ham log
na koī chashma ba-ḳhitta-e-jāñ
ki dasht ke hū-bahū haiñ ham log
kahīñ pe ham haiñ sukūt taarī
kahīñ pe to hā-o-hū haiñ ham log
ham ittifāqan yuuñ mil bhī jaa.eñ
magar mayassar kabhū haiñ ham log
hamīñ haiñ ta.azīm apnī 'rāshif'
ḳhud apnī qadroñ kī ḳhū haiñ ham log
jahan-e-aina-ru hain hum log
azal se hi surKH-ru hain hum log
yahin kahin aas-pas honge
ba-misl-e-KHush-rang-o-bu hain hum log
amanaten apni saunpte hain
qabile ki aabru hain hum log
na koi chashma ba-KHitta-e-jaan
ki dasht ke hu-bahu hain hum log
kahin pe hum hain sukut tari
kahin pe to ha-o-hu hain hum log
hum ittifaqan yun mil bhi jaen
magar mayassar kabhu hain hum log
hamin hain tazim apni 'rashif'
KHud apni qadron ki KHu hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.