jahan-e-bandagi ki is tarah takmil hoti hai
jahān-e-bandagī kī is tarah takmīl hotī hai
ki dil qur.ān hotā hai zabāñ injīl hotī hai
'urūj-e-zālim-o-maġhrūr kahtī hai jise duniyā
haqīqat meñ vo qudrat kī taraf se Dhiil hotī hai
taqaddus kā imārat se ta'alluq hai to bas itnā
nigāh-e-shāh se darvesh kī tazlīl hotī hai
hazāroñ saal se chehroñ ne sab kuchh kah diyā lekin
bayāñ ik lafz-e-ġham kī aaj bhī tafsīl hotī hai
azal se husn aur ham lāzim-o-malzūm haiñ nāseh
hamārī fitrat-e-rangīñ kahīñ tabdīl hotī hai
jahan-e-bandagi ki is tarah takmil hoti hai
ki dil quran hota hai zaban injil hoti hai
'uruj-e-zalim-o-maghrur kahti hai jise duniya
haqiqat mein wo qudrat ki taraf se Dhil hoti hai
taqaddus ka imarat se ta'alluq hai to bas itna
nigah-e-shah se darwesh ki tazlil hoti hai
hazaron sal se chehron ne sab kuchh kah diya lekin
bayan ek lafz-e-gham ki aaj bhi tafsil hoti hai
azal se husn aur hum lazim-o-malzum hain naseh
hamari fitrat-e-rangin kahin tabdil hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.