jahan-e-be-sabaati mein tamasha-e-jahan kab tak
jahān-e-be-sabātī meñ tamāshā-e-jahāñ kab tak
chamakte mehr-o-mah taare zamīn-o-āsmāñ kab tak
shab-e-ġham meñ tajallī par na itrā ai dil-e-muztar
sitāroñ kī ye chashmak aur raqs-e-kahkashāñ kab tak
samundar kī ḳhamoshī ek tūfāñ saath lā.egī
kisī nā-mehrbāñ kī ye nigāh-e-mehrbāñ kab tak
baḌhā.e jā qadam tū baḌh ke sargarm-e-amal ho jā
yūñhī taktā rahegā sū-e-gard-e-kārvāñ kab tak
lagā kar aag ḳhud hī kyoñ na bad-baḳhtī pe maiñ ro luuñ
jalā.eñ āshiyāñ ko mere āḳhir bijliyāñ kab tak
ye behtar hai falak honā hai jo kuchh ab vo ho jaa.e
rahūñ terī balā-e-nā-gahāñ ke darmiyāñ kab tak
kamāl-e-zabt par bhī ashk-e-ġham āñkhoñ se bah nikle
bhalā roke se ruk saktī thī ye sail-e-ravāñ kab tak
fazā-e-zīst par taarī hai 'aḳhtar' yaas kā aalam
na jaane matl.a-e-ummīd hogā zarfishāñ kab tak
jahan-e-be-sabaati mein tamasha-e-jahan kab tak
chamakte mehr-o-mah tare zamin-o-asman kab tak
shab-e-gham mein tajalli par na itra ai dil-e-muztar
sitaron ki ye chashmak aur raqs-e-kahkashan kab tak
samundar ki KHamoshi ek tufan sath laegi
kisi na-mehrban ki ye nigah-e-mehrban kab tak
baDhae ja qadam tu baDh ke sargarm-e-amal ho ja
yunhi takta rahega su-e-gard-e-karwan kab tak
laga kar aag KHud hi kyon na bad-baKHti pe main ro lun
jalaen aashiyan ko mere aaKHir bijliyan kab tak
ye behtar hai falak hona hai jo kuchh ab wo ho jae
rahun teri bala-e-na-gahan ke darmiyan kab tak
kamal-e-zabt par bhi ashk-e-gham aankhon se bah nikle
bhala roke se ruk sakti thi ye sail-e-rawan kab tak
faza-e-zist par tari hai 'aKHtar' yas ka aalam
na jaane matla-e-ummid hoga zarfishan kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.