jahan-e-bewafa kis ka dil-e-nashad hota hai
jahan-e-bewafa kis ka dil-e-nashad hota hai
Aashufta Shahjahanpuri
MORE BYAashufta Shahjahanpuri
jahān-e-bevafā kis kā dil-e-nāshād hotā hai
yahāñ jo vaz.a kā pāband hai barbād hotā hai
ġhanīmat hai ki haiñ maujūd abhī duniyā meñ dīvāne
bhalā ahl-e-ḳhirad se mai-kada ābād hotā hai
nazar milte hī dil se mahv ho jaate haiñ sab shikve
vafā yaksar bhulā detī hai jo kuchh yaad hotā hai
jo ik jān-e-hazīñ thī lījiye vo bhī fidā kar dī
ab is ke baad kyā mere liye irshād hotā hai
idhar hai pās-e-tamkīñ us taraf pās-e-vafā hamdam
na husn āzād hotā hai na ishq āzād hotā hai
tire mehr-o-karam par is liye ḳhāmosh rahtā huuñ
ki shukr-e-lutf bhī to shikva-e-bedād hotā hai
jahan-e-bewafa kis ka dil-e-nashad hota hai
yahan jo waza ka paband hai barbaad hota hai
ghanimat hai ki hain maujud abhi duniya mein diwane
bhala ahl-e-KHirad se mai-kada aabaad hota hai
nazar milte hi dil se mahw ho jate hain sab shikwe
wafa yaksar bhula deti hai jo kuchh yaad hota hai
jo ek jaan-e-hazin thi lijiye wo bhi fida kar di
ab is ke baad kya mere liye irshad hota hai
idhar hai pas-e-tamkin us taraf pas-e-wafa hamdam
na husn aazad hota hai na ishq aazad hota hai
tere mehr-o-karam par is liye KHamosh rahta hun
ki shukr-e-lutf bhi to shikwa-e-bedad hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.