jahan-e-dil mein hue inqalab aur hi kuchh
jahān-e-dil meñ hue inqalāb aur hī kuchh
mirī nigāh ne dekhe the ḳhvāb aur hī kuchh
mile haiñ tālib-e-īfā ko kuchh na.e va.ade
savāl aur hī kuchh thā javāb aur hī kuchh
Darā na nār-e-jahannam se mujh ko ai vaa.iz
mire janam meñ likhe haiñ azaab aur hī kuchh
sajā ke laa.e the kuchh log nāma-e-a.amāl
miyān-e-hashr huā ehtisāb aur hī kuchh
mirī nigāh ko ik umr meñ milā ye bhed
ki husn aur hī kuchh hai shabāb aur hī kuchh
huā hai sail-e-subuk-pā fishār-e-bād se gum
ye aayā marhala-e-inqilāb aur hī kuchh
nahīñ haiñ sat.h pe zāhir abhī nishāñ jis ke
butūn-e-getī meñ hai pech-o-tāb aur hī kuchh
jahan-e-dil mein hue inqalab aur hi kuchh
meri nigah ne dekhe the KHwab aur hi kuchh
mile hain talib-e-ifa ko kuchh nae wade
sawal aur hi kuchh tha jawab aur hi kuchh
Dara na nar-e-jahannam se mujh ko ai waiz
mere janam mein likhe hain azab aur hi kuchh
saja ke lae the kuchh log nama-e-amal
miyan-e-hashr hua ehtisab aur hi kuchh
meri nigah ko ek umr mein mila ye bhed
ki husn aur hi kuchh hai shabab aur hi kuchh
hua hai sail-e-subuk-pa fishaar-e-baad se gum
ye aaya marhala-e-inqilab aur hi kuchh
nahin hain sath pe zahir abhi nishan jis ke
butun-e-geti mein hai pech-o-tab aur hi kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.