jahan-e-dil mein inqalab kar diya
jahān-e-dil meñ inqalāb kar diyā
du'ā na the pe mustajāb kar diyā
ham ahl-e-dil kī nisbatoñ ke haiñ amiiñ
ye lutf-e-ḳhās hai ḳharāb kar diyā
ye shā'irī zakāt hai ki 'ishq ne
hameñ bhī sāhib-e-nisāb kar diyā
ye ‘ishq-nāma jam' jab kiyā gayā
tumhāre naam intisāb kar diyā
hai aarzū ki qarz-dār hī raheñ
agarche ham ne sab hisāb kar diyā
safar pas-e-safar aur us pe ye karam
supurd-e-hazrat-e-shahāb kar diyā
jahan-e-dil mein inqalab kar diya
du'a na the pe mustajab kar diya
hum ahl-e-dil ki nisbaton ke hain amin
ye lutf-e-KHas hai KHarab kar diya
ye sha'iri zakat hai ki 'ishq ne
hamein bhi sahib-e-nisab kar diya
ye ‘ishq-nama jam' jab kiya gaya
tumhaare nam intisab kar diya
hai aarzu ki qarz-dar hi rahen
agarche hum ne sab hisab kar diya
safar pas-e-safar aur us pe ye karam
supurd-e-hazrat-e-shahab kar diya
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 45)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.