jahan-e-gul mein agar dasht-e-jaan nahin hota
jahān-e-gul meñ agar dasht-e-jāñ nahīñ hotā
kabhī ġhazāl-talab mehmāñ nahīñ hotā
khule haiñ bāra-darī ke tamām darvāze
magar vo chehra kahīñ se 'ayāñ nahīñ hotā
ye aur baat ki lutf-e-shanāvarī na mile
pa āñsuoñ kā samundar kahāñ nahīñ hotā
taḌap uThī thī jahāñ tishnagī kī āḳhirī lau
vahāñ se ab koī dariyā ravāñ nahīñ hotā
'atā na kartā agar vo mizāj-e-darveshī
to merī zaat se raushan jahāñ nahīñ hotā
machaltā rahtā hai kyoñ ab bhī titliyoñ ke liye
ye tifl-e-ishq mirā kyoñ javāñ nahīñ hotā
hai mere sāmne ḳhud apnā aa.ina bhī 'ziyā'
mirī nigāh se ojhal jahāñ nahīñ hotā
jahan-e-gul mein agar dasht-e-jaan nahin hota
kabhi ghazal-talab mehman nahin hota
khule hain bara-dari ke tamam darwaze
magar wo chehra kahin se 'ayan nahin hota
ye aur baat ki lutf-e-shanawari na mile
pa aansuon ka samundar kahan nahin hota
taDap uThi thi jahan tishnagi ki aaKHiri lau
wahan se ab koi dariya rawan nahin hota
'ata na karta agar wo mizaj-e-darweshi
to meri zat se raushan jahan nahin hota
machalta rahta hai kyon ab bhi titliyon ke liye
ye tifl-e-ishq mera kyon jawan nahin hota
hai mere samne KHud apna aaina bhi 'ziya'
meri nigah se ojhal jahan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.