jahan-e-ishq mein wo ba-waqar ho ke chale
jahān-e-'ishq meñ vo bā-vaqār ho ke chale
jo kū-e-yār meñ sajda-guzār ho ke chale
vo ahl-e-hosh se pahle hī pā ga.e manzil
jo rāhvār-e-junūñ par savār ho ke chale
havā kuchh aisī chalī miT ga.iiñ sabhī qadreñ
nuqūsh-e-māzī ke gard-o-ġhubār ho ke chale
zakāt aap ke hāthoñ se mil ga.ī jin ko
vo be-navā vo gadā shahr-yār ho ke chale
ḳhayāl-o-ḳhvāb bhī dil bhī nafas bhī īmāñ bhī
jo silsila bhī chale nazr-e-yār ho ke chale
vo jin ko naaz thā īmān-o-zohd-o-taqvā par
butoñ kī ek jhalak par nisār ho ke chale
tumhāre husn kī mā'sūmiyat ke kyā kahne
shikār karne ko aa.e shikār ho ke chale
nasīm tere shabistāñ se ho ke aa.ī hai
ye kis liye na sarāpā bahār ho ke chale
bikhar ke uḌ ga.e aurāq-e-zindagī ai 'charḳh'
ajal ke dosh pe ham bhī savār ho ke chale
jahan-e-'ishq mein wo ba-waqar ho ke chale
jo ku-e-yar mein sajda-guzar ho ke chale
wo ahl-e-hosh se pahle hi pa gae manzil
jo rahwar-e-junun par sawar ho ke chale
hawa kuchh aisi chali miT gain sabhi qadren
nuqush-e-mazi ke gard-o-ghubar ho ke chale
zakat aap ke hathon se mil gai jin ko
wo be-nawa wo gada shahr-yar ho ke chale
KHayal-o-KHwab bhi dil bhi nafas bhi iman bhi
jo silsila bhi chale nazr-e-yar ho ke chale
wo jin ko naz tha iman-o-zohd-o-taqwa par
buton ki ek jhalak par nisar ho ke chale
tumhaare husn ki ma'sumiyat ke kya kahne
shikar karne ko aae shikar ho ke chale
nasim tere shabistan se ho ke aai hai
ye kis liye na sarapa bahaar ho ke chale
bikhar ke uD gae auraq-e-zindagi ai 'charKH'
ajal ke dosh pe hum bhi sawar ho ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.