jahan-e-KHak se kis ko gila nahin hota
jahan-e-KHak se kis ko gila nahin hota
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
jahān-e-ḳhāk se kis ko gila nahīñ hotā
faqīr huuñ so mujhe mas.ala nahīñ hotā
sabhī pe lafz kī girheñ khulā nahīñ kartīñ
suḳhan kā fahm sabhī ko atā nahīñ hotā
ḳhudā tumhāre muqaddar meñ baḳht likh Daale
kulāh-o-taḳht azīzam burā nahīñ hotā
kabhī kabhār vahī kāTnā bhī paḌtā hai
muqaddaroñ meñ jo likkhā huā nahīñ hotā
tamām mausam-e-sāvan guzar ga.e lekin
mire ḳhayāl kā gulshan harā nahīñ hotā
maiñ intizār kī lazzat se lutf letā huuñ
ye farz vo hai jo sab se adā nahīñ hotā
havā-e-tund yaqīnan uḌā ke le jaatī
tumhāre dar kā agar maiñ gadā nahīñ hotā
gunāh-gār-o-siyahkār huuñ magar phir bhī
ḳhudā kī shaan ki mujh se ḳhafā nahīñ hotā
agar vo vaqt pe merī sañbhāl kar letā
to itne TukḌoñ meñ 'jāmī' baTā nahīñ hotā
jahan-e-KHak se kis ko gila nahin hota
faqir hun so mujhe masala nahin hota
sabhi pe lafz ki girhen khula nahin kartin
suKHan ka fahm sabhi ko ata nahin hota
KHuda tumhaare muqaddar mein baKHt likh Dale
kulah-o-taKHt azizam bura nahin hota
kabhi kabhaar wahi kaTna bhi paDta hai
muqaddaron mein jo likkha hua nahin hota
tamam mausam-e-sawan guzar gae lekin
mere KHayal ka gulshan hara nahin hota
main intizar ki lazzat se lutf leta hun
ye farz wo hai jo sab se ada nahin hota
hawa-e-tund yaqinan uDa ke le jati
tumhaare dar ka agar main gada nahin hota
gunah-gar-o-siyahkar hun magar phir bhi
KHuda ki shan ki mujh se KHafa nahin hota
agar wo waqt pe meri sanbhaal kar leta
to itne TukDon mein 'jami' baTa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.