jahan-e-rang jahan-e-KHarab donon lao
jahān-e-rang jahān-e-ḳharāb donoñ laao
hamāre vāste kāñTe gulāb donoñ laao
vafā.eñ kar ke ḳhasāre meñ kaun rahtā hai
purānā aur abhī kā hisāb donoñ laao
kahāñ likhā hai ki insāniyat kā qatl karo
hamārī aur tumhārī kitāb donoñ laao
ab aise faisla karnā to ġhair mumkin hai
hamāre sāmne achchhā ḳharāb donoñ laao
ab āñsūoñ kā hameñ bhī hisāb karnā hai
tum apnī hasrateñ aur apne ḳhvāb donoñ laao
jahan-e-rang jahan-e-KHarab donon lao
hamare waste kanTe gulab donon lao
wafaen kar ke KHasare mein kaun rahta hai
purana aur abhi ka hisab donon lao
kahan likha hai ki insaniyat ka qatl karo
hamari aur tumhaari kitab donon lao
ab aise faisla karna to ghair mumkin hai
hamare samne achchha KHarab donon lao
ab aansuon ka hamein bhi hisab karna hai
tum apni hasraten aur apne KHwab donon lao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.