jahan-e-zat ke aafaq mein daricha mila
jahān-e-zāt ke āfāq meñ darīcha milā
qafas khulā to kahīñ ḳhaak meñ darīcha milā
kisī kitāb ke alfāz qaid-ḳhāne haiñ
kahīñ phaTe hue aurāq meñ darīcha milā
ye vahshateñ tirā dīvāna sah nahīñ paayā
junūñ ko dāman-e-sad-chāk meñ darīcha milā
hamāre kamra-e-jāñ meñ añdhere raushan the
to ham ko jumla-e-laulāk meñ darīcha milā
laTak rahā hai jo manzar frame ke andar
mujhe vahīñ ḳhas-o-ḳhāshāk meñ darīcha milā
kisī ne kamra-e-ḳhāmoshī meñ amaañ paa.ī
kisī ko gufta-e-bebāk meñ darīcha milā
na.e makān ko ābād karne kī ḳhātir
zamīñ pe dar mile aflāk meñ darīcha milā
dar-e-jahān-e-digar band hai har ek pe par
har ek dīda-e-namnāk meñ darīcha milā
laboñ ko kar ke muqaffal jo etakāf kiyā
ba-der hujra-e-idrāk meñ darīcha milā
jahan-e-zat ke aafaq mein daricha mila
qafas khula to kahin KHak mein daricha mila
kisi kitab ke alfaz qaid-KHane hain
kahin phaTe hue auraq mein daricha mila
ye wahshaten tera diwana sah nahin paya
junun ko daman-e-sad-chaak mein daricha mila
hamare kamra-e-jaan mein andhere raushan the
to hum ko jumla-e-laulak mein daricha mila
laTak raha hai jo manzar frame ke andar
mujhe wahin KHas-o-KHashak mein daricha mila
kisi ne kamra-e-KHamoshi mein aman pai
kisi ko gufta-e-bebak mein daricha mila
nae makan ko aabaad karne ki KHatir
zamin pe dar mile aflak mein daricha mila
dar-e-jahan-e-digar band hai har ek pe par
har ek dida-e-namnak mein daricha mila
labon ko kar ke muqaffal jo etakaf kiya
ba-der hujra-e-idrak mein daricha mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.