Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan hain mahbus ab bhi hum wo haram-saraen nahin rahengi

Habib Jalib

jahan hain mahbus ab bhi hum wo haram-saraen nahin rahengi

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    jahāñ haiñ mahbūs ab bhī ham vo haram-sarā.eñ nahīñ raheñgī

    larazte hoñToñ pe ab hamāre faqat duā.eñ nahīñ raheñgī

    ġhasab-shuda haq pe chup na rahnā hamārā manshūr ho gayā hai

    uThegā ab shor har sitam par dabī sadā.eñ nahīñ raheñgī

    hamāre azm-e-javāñ ke aage hamāre sail-e-ravāñ ke aage

    purāne zālim nahīñ tikeñge na.ī balā.eñ nahīñ raheñgī

    ye qatl-gāheñ ye adl-gāheñ inheñ bhalā kis tarah sarāheñ

    ġhulām aadil nahīñ raheñge ġhalat sazā.eñ nahīñ raheñgī

    bane haiñ jo ḳhādimān-e-millat vo karnā sīkheñ hamārī izzat

    vagarna un ke tanoñ pe bhī ye sajī qabā.eñ nahīñ raheñgī

    jahan hain mahbus ab bhi hum wo haram-saraen nahin rahengi

    larazte honTon pe ab hamare faqat duaen nahin rahengi

    ghasab-shuda haq pe chup na rahna hamara manshur ho gaya hai

    uThega ab shor har sitam par dabi sadaen nahin rahengi

    hamare azm-e-jawan ke aage hamare sail-e-rawan ke aage

    purane zalim nahin tikenge nai balaen nahin rahengi

    ye qatl-gahen ye adl-gahen inhen bhala kis tarah sarahen

    ghulam aadil nahin rahenge ghalat sazaen nahin rahengi

    bane hain jo KHadiman-e-millat wo karna sikhen hamari izzat

    wagarna un ke tanon pe bhi ye saji qabaen nahin rahengi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now