jahan hum ji rahe the sar uTha kar
jahāñ ham jī rahe the sar uThā kar
vahāñ par kyā milā patthar uThā kar
bharī barsāt ab tak jī rahe haiñ
abhī tak gaañv meñ chhappar uThā kar
kirāya sab nigal letā hai paisa
raheñ ham kis tarah se ghar uThā kar
hamārī zindagī se yāvarī hai
kahīñ bhī chal diye ghar-bhar uThā kar
jahāñ dekhā vahīñ chūmā hai maiñ ne
tumhāre naam kā akshar uThā kar
ham us kī saltanat meñ jī rahe haiñ
hameñ vo pheñk deñ bāhar uThā kar
mohabbat chhoḌ kar apnī havelī
sukūñ se chal paḌī bistar uThā kar
jahan hum ji rahe the sar uTha kar
wahan par kya mila patthar uTha kar
bhari barsat ab tak ji rahe hain
abhi tak ganw mein chhappar uTha kar
kiraya sab nigal leta hai paisa
rahen hum kis tarah se ghar uTha kar
hamari zindagi se yawari hai
kahin bhi chal diye ghar-bhar uTha kar
jahan dekha wahin chuma hai main ne
tumhaare nam ka akshar uTha kar
hum us ki saltanat mein ji rahe hain
hamein wo phenk den bahar uTha kar
mohabbat chhoD kar apni haweli
sukun se chal paDi bistar uTha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.