jahan hote kisi chashm-e-sitara-yab mein hote
jahāñ hote kisī chashm-e-sitāra-yāb meñ hote
ham aise log har lahza hisār-e-āb meñ hote
to phir ham par bhī khultā husn tere āriz-o-lab kā
agar kuchh aur chehre bhī hamāre ḳhvāb meñ hote
ye miTTī paañv meñ zanjīr kī sūrat hai varna ham
zamīñ ko chhoḌ kar ik ḳhitta-e-shādāb meñ hote
samundar ko bipharte dekh kar ye jī meñ aatā hai
kabhī ham bhī muqayyad sho.ala-e-mahtāb meñ hote
hameñ bhī kyā zarūrī thā ta.alluq duniyā-dāroñ se
agar ham aap apne halqa-e-ahbāb meñ hote
jahan hote kisi chashm-e-sitara-yab mein hote
hum aise log har lahza hisar-e-ab mein hote
to phir hum par bhi khulta husn tere aariz-o-lab ka
agar kuchh aur chehre bhi hamare KHwab mein hote
ye miTTi panw mein zanjir ki surat hai warna hum
zamin ko chhoD kar ek KHitta-e-shadab mein hote
samundar ko bipharte dekh kar ye ji mein aata hai
kabhi hum bhi muqayyad shoala-e-mahtab mein hote
hamein bhi kya zaruri tha talluq duniya-daron se
agar hum aap apne halqa-e-ahbab mein hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.