jahan jahan gae phulon ki anjuman dekhi
jahāñ jahāñ ga.e phūloñ kī anjuman dekhī
mirā bahār se ahd-e-alast hai ai dost
kisī ko pyaas atā ho kisī ko jaam mile
ġham-e-hayāt kī ye sarguzisht hai ai dost
is aabrū ko tirī ḳhū-e-dilbarī kī qasam
ye dilbarī bhī mirī bāzgasht hai ai dost
hilāl ban ke ayaañ haiñ gulāb ban ke khile
rah-e-vafā meñ yahī pesh-raft hai ai dost
hayāt baḌhtī ga.ī parcham-e-vafā le kar
na un kī fat.h na merī shikast hai ai dost
ab un kī yaad pe bhī hukm-e-imtinā.ī hai
dayār-e-dil meñ nayā bandobast hai ai dost
jahan jahan gae phulon ki anjuman dekhi
mera bahaar se ahd-e-alast hai ai dost
kisi ko pyas ata ho kisi ko jam mile
gham-e-hayat ki ye sarguzisht hai ai dost
is aabru ko teri KHu-e-dilbari ki qasam
ye dilbari bhi meri bazgasht hai ai dost
hilal ban ke ayan hain gulab ban ke khile
rah-e-wafa mein yahi pesh-raft hai ai dost
hayat baDhti gai parcham-e-wafa le kar
na un ki fath na meri shikast hai ai dost
ab un ki yaad pe bhi hukm-e-imtinai hai
dayar-e-dil mein naya bandobast hai ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.