jahan jahan hai sahar ka aalam wahin wahin raushni nahin hai
jahāñ jahāñ hai sahar kā aalam vahīñ vahīñ raushnī nahīñ hai
hazār sham.eñ huiiñ haiñ raushan magar kahīñ raushnī nahīñ hai
na mujh ko bahkāo in ujāloñ kī mehr-afroz rañgtoñ se
fareb hai ye kisī kiran kā nahīñ nahīñ raushnī nahīñ hai
hamārā zauq-e-nigāh ab tak hai gumrahī kī naqāb oḌhe
ajab tamāshā hai tere jalvoñ meñ mah-jabīñ raushnī nahīñ hai
jahāñ pe sūraj chamak rahā hai vahīñ pe zulmat baras rahī hai
maiñ kyuuñ na zulmat se pyaar kar luuñ ki dil-nashīñ raushnī nahīñ hai
na.e ujāle udaas rūheñ na.e savere bujhe hue haiñ
ye ek dhokā hai raushnī kā dil-e-hazīñ raushnī nahīñ hai
charāġh-e-ḳhufta charāġh-e-raushan se jagmagātā rahā hamesha
maqām-e-hastī ke in añdheroñ pe ḳhashmagīñ raushnī nahīñ hai
baḌhe haiñ manzil kī samt ham bhī shuā-e-'baḳht'-e-jamīl le kar
hameñ taraddud nahīñ hai koī agar kahīñ raushnī nahīñ hai
jahan jahan hai sahar ka aalam wahin wahin raushni nahin hai
hazar shamen huin hain raushan magar kahin raushni nahin hai
na mujh ko bahkao in ujalon ki mehr-afroz rangton se
fareb hai ye kisi kiran ka nahin nahin raushni nahin hai
hamara zauq-e-nigah ab tak hai gumrahi ki naqab oDhe
ajab tamasha hai tere jalwon mein mah-jabin raushni nahin hai
jahan pe suraj chamak raha hai wahin pe zulmat baras rahi hai
main kyun na zulmat se pyar kar lun ki dil-nashin raushni nahin hai
nae ujale udas ruhen nae sawere bujhe hue hain
ye ek dhoka hai raushni ka dil-e-hazin raushni nahin hai
charagh-e-KHufta charagh-e-raushan se jagmagata raha hamesha
maqam-e-hasti ke in andheron pe KHashmagin raushni nahin hai
baDhe hain manzil ki samt hum bhi shua-e-'baKHt'-e-jamil le kar
hamein taraddud nahin hai koi agar kahin raushni nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.