jahan kahin bhi tere nam ki duhai di
jahāñ kahīñ bhī tire naam kī duhā.ī dī
mujhe palaT ke ḳhud apnī sadā sunā.ī dī
nigal rahī thī mire ā.inoñ kī tārīkī
ki phir kahīñ se achānak kiran dikhā.ī dī
tire jamāl ne baḳhshī nigāh miTTī ko
tire ḳhayāl ne taufīq-e-lab-kushā.ī dī
atā hai us kī diyā dil mujhe samundar kā
banā ke chāñd tujhe jis ne dilrubā.ī dī
sunā hai phir kahīñ andhe tamāsh-bīnoñ ne
kisī charāġh ko kal dād-e-ḳhush-numā.ī dī
to umr biit chukī thī chaman mahakne kī
jab us ne qaid se 'rāhat' mujhe rihā.ī dī
jahan kahin bhi tere nam ki duhai di
mujhe palaT ke KHud apni sada sunai di
nigal rahi thi mere aainon ki tariki
ki phir kahin se achanak kiran dikhai di
tere jamal ne baKHshi nigah miTTi ko
tere KHayal ne taufiq-e-lab-kushai di
ata hai us ki diya dil mujhe samundar ka
bana ke chand tujhe jis ne dilrubai di
suna hai phir kahin andhe tamash-binon ne
kisi charagh ko kal dad-e-KHush-numai di
to umr bit chuki thi chaman mahakne ki
jab us ne qaid se 'rahat' mujhe rihai di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.